Sunday, February 16, 2014

Raghupati Raghav Raja Ram रघुपति राघव राजा राम

                


Tuesday, September 3, 2013

Kabhi 2 bhagwan

                    


Wednesday, June 26, 2013

Monday, June 24, 2013

Koi lakh kare chaturai karam ka lekh mite na re bhai कोई लाख करे चतुराई

Koi lakh kare chaturai karam ka lekh mite na re bhai lyrics and notations, notes ,swar कोई लाख करे चतुराई 






Koi laakh karay chaturai
karam ka laikh mitay na re bhai --- Lyrics by  Kavi pardeep

Koi Lakh kare chaturai karm ka lekh mite na re bhai
Karm ka lekh mite na re bhai
zara samjo iski sachai re
karam ka lekh mite na re bhai

Is duniya me bhagye ke aage
chalna kisi ka upaiye
kagad ho to sab koi banche
karam na bancha jai
Ek din Isi kismat ke karan
banko gaye the raghu rai re
karam ka lekh mite na re bhai

Kahe manva dhiraj khota
kahe tu nahak roye
apna sooch kabhi nahi hota
bhagya kare so hoi
chahe ho raja chahe bhikhari
thokar sabhi ne yahan khai re
karam ka lekh mite na re bhai

Ye to sach hai ke bhagwan hai

 



Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai,
Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai, (2)
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai,
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai....

Janmdaata Hai Jo, Naam Jinse Mila,
Thamkar Jinki Ungli Hai Bachpan Chala, Ho Ho ho ho...
Kaandhe Par Baithke, Jinke Dekha Jahaan,
Gyan Jinse Mila, Kya Bura Kya Bhala,
Itne Upkaar Hain Kya Kahen,
Yeh Bataana Na Aasaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai....

Janm Deti Hai Jo, Maa Jise Jag Kahe,
Apni Santaan Mein, Pran Jiske Rahe, Ho Ho Ho ho...
Loriyan Hothon Par, Sapne Bunti Nazar,
Neend Jo Vaar De, Hanske Har Dukh Sahe,
Mamta Ke Roop Mein Hai Prabhu,
Aapse Paaya Vardaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai,
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai....

Aapke Khwab Hum, Aaj Hokar Jawaan,
Us Param Shakti Se Karte Hain Prarthna, ho ho ho ho...
Unki Chhaya Rahe, Rehti Duniya Talak,
Ek Pal Reh Sake Hum Na Jinke Bina,
Aap Dono Salaamat Rahe,
Sabke Dil Mein Yeh Armaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai,
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai..